Friday, June 20, 2014

Kaam karne ki ikcha nahi hai aaj kuch khaas
office mujhe nazar aa raha hai sandas

coding karne main nahi hai koi khyati
ab to keyboard aur monitor se ghinn hai aati

charon taraf chaaploosi ki badbu faili hai
aur dhone ke liye lota nahi, kagaz ki thaili hai
jisme se dhone se pehle paani beh jaata hai
saala kagaz bhi kisi kaam nahi aata hai, geela hai phat jaata hai


humne ganda nahi kiya, phir bhi gandagi main jeete hain
doosron ka phata , hum seete hain
Itna sab kar ke bhi koi sabaashi nahi paate hain
kyunki apna kaam khatam karke hum jaldi nikal jaate hain

In baaton ka kisi ko nahi hota Ehsaas
Kyunki hum muskurate rehte hain, nahi hote badhawas

Kaam karne ki ikcha nahi hai aaj kuch khaas
office mujhe nazar aa raha hai sandas, office mujhe nazar aa raha hai sandas.

No comments: