Thursday, October 23, 2014

Kitne pal

kitne pal, kitne makaam kho diye
zindagi teri jaddo jehat main
humne saare araam kho diye
teri jaddo jehat main
kehte hain ki zindagi sangharsh ka naam hai
par kya sangharsh pe nahi koi viram hai.

kab tak apne aap se joojhta rahun
kab tak pagal vetal sa ghoomta rahun
kya mere naseeb main nahi do pal ka chain hai
ye mann mera apni karke bhi kyun bechain hai

kuch hai jo chubta hai,
kyun ye tan har roz uthta hai
rukta hai us pal jab woh akaash ko rukh karta hai
taaron ki roshni se mano ek darr mann main utarta hai

darr kehta hai , kyun jeeta hai !
kya soch ke har haasil ka peecha karta hai
behtar kal ki chah main tu har lamha pista hai
arrey astitva kya hai tera is brahmaand ke aage
mahakayae taare nasht ho gaye, anantkal main kho gaye
tu to ek dhool kan pe keedon sa rengta hai
arrey pagle kya soch ke jeeta hai.

uttaron ka aabhaav hai,prashno ka bhandaar hai
par kya mere naseeb main uttaron ka upachar hai
is anant vistaar main adhiktar rikt sthan hai
aur mere jeevan prash ka keval shoonya hi samadhan hai

No comments: