Friday, July 1, 2011

Begana gaana (song about song)

ye to mukhda hai, mukhda hai, mukhda hai
ye jo mukhda hai, mukhda hai, mukhda hai
hota har gaane ka ek mukhda hai
mere gaane ka bas ye hi mukhda hai

Ye jo aaya hai gaane ka 1st verse hai
meri life mere sapno ke adverse hai
iske aage ki liney to much worse hain
Unmain roya maine apna dukhda hai
ye jo mukhda hai mukhda hai mukhda hai - chorus

zara gaur pharmaiyega. Arz kiya hai-
Dekhiye ye gaane ke beech main ek shayari hai..
Dekhiye ye gaane ke beech main ek shayari hai..

Ab main aage kya sunao , kisi ne faad di meri diary hai

Chorus -ye jo mukhda hai.. -X3

ye aaya gaane ka 2nd verse hai
ye gaana nahi hai ye ek marz hai
sunane wale ja tujhpe ye ek curse haiiiiiiiiiiiii
(tempo change)
teri biwi na tujhpe taras khayegi
jhaadu pocha woh tujhse hi karwayegi
din ba din salary teri ghat jayegi
teri gaadi traffic main thuk jayegi
teri saasuma bas teri jaan khayegi
(I am out of breath.)
false ceiling se plaster ukhad jayega
tune paala jo kutta woh mar jayega
tere kamre main seepage ho jayega
zindagi bhar saale tu to pachtayega

Ek aur shayri hai zara bardasht kariyega -
arrey kuch to sharm kar, thodi to kar haya
arrey kuch to sharm kar, thodi to kar haya

bhaag ja begairat, ab to main bhi pak gaya


ye jo mukhda hai mukhda hai mukhda hai - chorus

No comments: